Thursday, June 23, 2016

Mobile phone paani me girne par kya kare aur kya na kare?(मोबाइल फ़ोन पानी में गिरने पर क्या करे ?)



Agar aapka mobile paani me gir jaaye to aapke phone par hi nahi usme rakhe data ke khatm hone ka bhi khatra hota hai. Agar phone paani me gir jaaye to sabse pahle ye upaay kare – 

Facebook, youtube se delete kijiye apni private search history- Janiye kyun.

 
Mobile phone paani me girne par kya kare aur kya na kare.


·       Mobile paani me girne par sabse pahle use switch-off kar de. Phir sim,memory card aur bettery ko alag karke sukhaye aur kisi tissue paper ya mulayam kapde se ponchhe. Sidhe dhup me rakh kar na sukhaye.


·       Aksar kuchh log sukhane ke liye hairdryer ka istemal karte hai,lekin iski adhik garmi phone ko nuksan pahuncha sakti hai.Dusre option ke taur par vacume cleaner ke samne 20 minute tak rakh kar bhi nami sukha sakte hai.

    Facebook me anchahe tag aur candy crush request ko kaise band kare. 
 

·       Baaki bache nami ko nikalne ke liye ise chawal ke saath dibbe me 24 ghante ke liye bhi rakha ja sakta hai.


      Phir ise bahar rakhe taaki hawa lag sake,par dhup me na rakhe. 24 ghante baad phone chalu kare. Agar iske baad bhi dikkat aati hai to phir technician ko dikhaye.

Ise apne friends ke saath share kare. Share karne ke liye in icons pe click kare

No comments:

Post a Comment