Thursday, June 23, 2016

Apne smartphone se lijiye bhoot (Ghost) ki photo.(अपने स्मार्टफोन से लीजिए भूत (घोस्ट) की फोटो)



Dosto, aap soch rahe honge ki aisa bhala ho sakta hai? Actually dosto kuchh apps hai jisse kai tarah ke prank kiye ja sakte hai. Aap chahe to apne kisi dost ko kisi bhoot (Ghost) ke bagal me baitha dikha kar use dara sakte hai. Agar aapka koi dost sabke samne shekhi bakharta hai ki use bhooton (Ghost) se dar nahi lagta, to is majedaar prank ko sabse pahle usi par try kar sakte hai. 
Apne chori ho chuke ya khoye huwe phone ka khud kaise pata lagaye- Jarur padhe.
 
Apne mobile se lijiye bhoot (Ghost) ki photo.
www.webhackertips.com

Iske liye ak app hai Ghost in photo. Is app ki madad se aap kisi ke bhi photo ko edit karke usme bhoot ki photo daal sakte hai. Iske liye sabse pahle ak photo select karna hoga. Iske baad apni app me maujud kisi darawani photo ko select kijiye. Phir jarurat ke hisab se uski size aur transparesy ko set kijiye, jisse yah photo me set hone ke baad akdum real lage. Bus ab ise apni family aur friends ke satth share kijiye aur maje lijiye. Is app me ghost ditector aur ghost cemera jaise function bhi shamil hai. Inki madad se photo khinchte samay aap screen par hi kisi ghost ko set kar sakte hai aur phir photo khinch sakte hai. Isme aapko alag-alag tarah ke bilkul asli dikhne wale ghost ke photo milenge.

Youtube ke video bina kisi software ke kaise download kare - Jarur padhe. 

Janiye - Hackers kaise hack karte hai kisi ka facebook account.

Is post ko apne dosto ke saath share karne ke liye in icons pe click kare.

No comments:

Post a Comment