Monday, April 18, 2016

Apne mobile se delete ho chuki photo-video wapas kaise paaye.(अपने मोबाइल से डिलीट हो चुकी फोटो-वीडियो वापस कैसे पाएँ)

Friends aajkal smartphone me behtar quality ka camera milne ki wajah se log usi se photo khichte aur video banate hai.Par kai baar aisa hota hai ki hum apne yaadgar photo-video ko computer ya laptop me upload bhee nahi kar paate hai aur ye galti se phone se delete ho jati hai.Dosto aapke saath bhee aisa jarur hota hoga.Par dosto kuchh aise apps bhee hai jisse apne smartphone se delete ho chuke photo-video ko dobara hasil kar sakte hai.Aaiye jante hai kuchh aise hi aaps ke baare me.

Apne mobile ko banaaiye computer ka webcamera.  

Bina internet chalaaiye facebook aur twitter.



Mobile se delete ho chuki photo, video wapas kaise paaye.


''Recovery file browser'' ak aisa app hai jo delete ho chuki photo,video aur audio files ko recover karne ki suvidha deta hai.Is app ko open karne ke baad aapko uper ''Settings'' ka option dikhega.Is par click karne se delete ho chuki photo,video aur audio files ko recover karne ke alawa google drive me save karne ka option bhee screen par aa jayega.Agar aap photo recover karna chahte hai to ''photo'' ke option par click karna hoga.Iske baad recovery window khulegi jisme photo recover karne ke 2 tarike 'method 1' aur 'method 2' dikhenge.'method 1' se file recover karne par haal hi me delete ki gayi photos milengi,jabki 'method 2' ka istemal kar sabhi purani photo ko ak baar phir hasil kiya ja sakta hai.''Recovery file browser'' ka istemal karne me samsya aane par aap isme di gayi video bhee dekh sakte hai jiska option app kholne par shuruaat me hi milega.

Facebook se paaiye naukri. 

Baniye smart whatsapp user in 5 tariko se.

                                      ''Recovery file browser'' se dobara hasil kiya gaya data zip format me aata hai.Aap ise google drive me save kar sakte hai.Agar aapko zip format wali files ko kholne me samsya aati hai to aap Zip Viewer download kare.Isse photo aasani se khul jayengi,saath hi phone me we kahan save huyi hai iski jankari bhee mil jayegi.
Aap in apps ka bhi istemal kar sakte hai-
  • Restore image(Super easy)
  • SDCard Recovery File
  • Undeleter Recover Files & Data
  • Recovery File Browser
  • App Backup & Restore 
Aap in apps ko google play store me search kar sakte hai. 
Share this post

No comments:

Post a Comment