Dosto, pahle social media dost banane aur unse chating karne
tak hi simit tha, par ab hamari zindagi ka koi bhi hissa isse achhuta nahi hai.
Kyunki ab ye naukri dhudhne me bhi aapki madad kar raha hai. Iske liye aapko
jarurat hai facebook par kuchh groups join karne ki. In groups se judkar aap na
sirf apne dost bana sakte hai balki isse aapko naukri aur usse judi anek
jankari milti rahegi aur is tarah aap apna network badhakar apne carrier ko ak
nayi disha de sakte hai. Facebook par aise kai achchhe groups maujud hai jo
alag-alag topics par bane hai. Mai yahan aapko kuchh aise hi groups ki jankari
de raha hu.
✹ Apne chori ho chuke ya khoye huwe phone ka khud kaise pata lagaye.
✹ Apne chori ho chuke ya khoye huwe phone ka khud kaise pata lagaye.
1. Free online event marketing :- Aaj ka daur marketing aur
promotion ka hai. Aise me public relation me apna career banane walo ke liye
aur event marketing se judne wale youths ke liye Free online event marketing group ak achchha option hai. Yahan par log
ak-dusre se apne kaam ka anubhav share karte hai aur saath hi yadi kisi ko
fresher ya employee ki jarurat hoti hai to is group par post kar dete hai.
2. Government exam materials :- Is group se na sirf sarkari
naukri ki jankari milti hai balki sarkar ki aur se karwai jane wali exams ke
baare me bhi pata chalta hai. Saath hi group ke dusre members ke saath baat
karke exam se related tips aur expert advice bhi milti hai. Is group me exam
pass karne wale student apni taiyariyan aur tips share karte rahte hai jo dusro
ke kaam aate hai.
3. Media movements:- Agar aapko media se judi kisi bhi baat
ki jankari chahiye ya phir aap kisi akhbar (newspaper) ya website me
free-lancing aur fresher ke roop me kaam karna chahte hai to Media Movements behtar option ho sakta hai. Is group
se hajaro log jude hai. Isme yuva apni sabhi tarah ki jankari aur e-mail id share
karte hai. Is group se judne ka yah bhi fayda hai ki isse aap media me kaam kar
rahe logon ke sampark me aate hai aur aapka network badhta hai.
✹ Apne smartphone se lijiye bhoot (Ghost) ki photo.
✹ Hackers kaise hack karte hai kisi ka facebook account.✹ Apne smartphone se lijiye bhoot (Ghost) ki photo.
4. Government Jobs Alert :- Is group se judne ke baad sarkari
naukari se judi nayi vacancy ke baare me alert milte hai. Saath hi us naukri ke
baare me aapko is group me bina kisi pareshani ke saari detail bhi mil jati
hai. Is group ke jariye aap anya logon se baat karke anya naukriyo ke bare me
bhi jaan sakte hai.
Is post ko apne friends ke saath share kare.
No comments:
Post a Comment