Dosto,aaj social media ( facebook,twitter) jitni tezi se apne paanw pasar raha hai,utni hi isme ghuspaith ki
koshishe bhi tez ho gayi hai.Is post me mai aapko kuchh aise tips batane ja
raha hu jisse aap apne social account me ghuspaith ko rok kar apni privacy ko
bacha sakte hai.
✹ Aap bhi kama sakte hai 15000/- mahine bina koi paise lagaye.
✹ Dekhiye real time live hacking.
✹ Aap bhi kama sakte hai 15000/- mahine bina koi paise lagaye.
✹ Dekhiye real time live hacking.
Dosto,kai baar facebook ya twitter par photo ya video ke rup
me achanak ashlil post aa jati hai aur aapke friend list me jitne bhi dost hai
un sabko ye dikhti hai.kabhi-kabhi to ispar click karne par yah aapki or se
dosto ko chali jaati hai.Isse aapki image bhi kharab hoti hai.Isko hatane ke
liye my.bitdefender.com par apna facebook ya twitter account add kare.Yahan par
ak ‘safebox’ option aayega,jise on karna hoga.Iske baad ye kisi bhi faltu
post,jisme virus ho sakta hai, ko apne aap hata deta hai.Yah website parents ko
apne bachcho ke social account par najar rakhne ki suvidha bhi deti hai.
Kai game aur app facebook aur twitter ke jariye log in ka
option deti hai.Log in se pahle ye app user ke account se kuchh bhi post karne
ki permission mangti hai jispar aksar dhyan nahi diya jata hai.Is karan inki or
se aapki timeline par post aati rahti hai.Par ise bhi setting me badlaw karke
rok sakte hai.Facebook ke liye setting me diye gaye ‘App’ ke option par
jaaye.Yahan un sabhi app ki jankari mil jayegi jinhe aapke account me log in
hone ki permission prapt hai.Inme se jin aap par aap vishwas karte hai,unko
chhod kar sabhi ko hata sakte hai.
Saath hi facebook ke activity log se yah pata lagaya ja
sakta hai ki kahin koi app ya vyakti aapka account to istemal nahi kar raha
hai.Iske liye cover photo ke pass diye gaye ‘Activity log’ ke option par
jaaye.Yahan aapke account ki har movement dikhai degi.Thik isi tarah gmail par
log in hone ke baad sabse niche ‘Last account activity’ ka option dikhega.Yahan
click karke aap dekh sakte hai ki aapka gmail account kahan se kis ip address
se log in huaa hai.
✹ Internet ki anokhi aur rahasyamayi websites - Jarur dekhiye.
✹ Kisi bhi wi-fi ka secret password kaise jaane.
Share this post✹ Internet ki anokhi aur rahasyamayi websites - Jarur dekhiye.
✹ Kisi bhi wi-fi ka secret password kaise jaane.
No comments:
Post a Comment