Thursday, May 12, 2016

Apne facebook account ko hackers se kaise bachaye.(अपने फेसबुक अकाउंट को हैकर्स से कैसे बचाएँ )

Friends, apne pichhle postHackers kaise hack karte hai facebook account) me maine aapko bataya tha ki hackers kaise FB account hack karte hai aur hum kaise apne FB account ko safe rakh sakte hai.Usi kadi me aaj mai aapko batane ja raha hu ki aur bhi kai aise tarike hai jisse aap apne FB account ko aur jyada surakshit rakh sakte hai.Aaj facebook user ki sankhya karodo paar gayi hai par lagbhag 95% users ko in facebook safety tips ki jankari nahi hoti jo mai aaj yahan batane ja raha hu.

Apne chori ho chuke ya khoye huwe phone ka khud kaise pata lagaye - Jarur padhe.

Apne smartphone se lijiye bhoot (Ghost) ki photo.

Apne facebook account ko hackers se kaise bachaye.

Dosto, kai baar aisa hota hai ki aapke mobile ka data pack khatm ho jata hai aur aapko apna fb account apne kisi friend ke mobile pe ya cyber cafe me kholna padta hai.Par dosto aapko pata hai ki kuchh aise bhi software aate hai jo computer ke keyboard ya mobile ke button ki har ak hit ko record kar lete hai.Isse hackers ye jaan jate hai ki aapne kaun sa button press kiya tha ya aapne kya type kiya tha aur isse unke liye aapka password janna aasan ho jata hai. To ho sakta hai ki cyber cafe ke computer me ya aapke friend ne apne mobile me ye software install kar rakha ho.To fir aap kya karenge? No problem,   

     Aap apne friend ke mobile me, library ya cyber cafe me apna facebook page to kholna chahte hai ,lekin sefty ki khatir wahan apna password istemal nahi karna chahte to facebook aapko iski bhi suvidha deta hai.Aap facebook se ''one time password (OTP)'' ki demand kar sakte hai,jisse aap apne facebook page me log in ho jayenge.Iski khasiyat ye hai ki ise ak se jyada baar istemal nahi kiya ja sakta aur iski validity sirf 20 minute ke liye hoti hai,yaani 20 minute baad ye kisi kaam ka nahi rahega.Facebook ke saath registerd apne mobile se aapko english me OTP type karke 51555 (tata indicom,aircel,videocon mobile service) aur agar aapke paas koi dusra mobile hai to 9232232665 par bhejna hai.Iske baad aapke mobile par one time password aa jayega,jiska aap aasani se istemal kar sakte hai.

''Trusted contacts'' me shamil kare karibi dosto ko --

Security page me trusted contacts par click karke aap apne 3-5 tak aise dosto ke naam de sakte hai, jinhe aap personally jante hai aur phone par baat bhi karte hai. Iska fayda ye hoga ki agar kabhi aap apna password bhul jaye aur e-mail ki madad se bhi aapna password reset nahi kar paa rahe hai to ye dost aapki madad kar payenge. Facebook ka password bhulne par aap ''forgot your password '' par click karenge.Ab diye gaye instruction ka palan karen aur trusted contacts se un dosto ko select kare jinse aap madad mangna chahenge.Ab apne dosto ko phone karke kahen ki jo link unke pass aaya hai us par click karen aur security code aapko bataye.Bus, ab aap aasani se apna password reset kar sakte hai.

Agar aapke paas android mobile hai to ye 6 chije aapko jarur jaanni chahiye.

Baniye smart whatsapp user in 5 tariko se.

Is post ko share kare

1 comment:

  1. Most of the blogs pretend themselves as most usable and updated blogs with new information but sometime truth might different. I want to share some facts related to this subject which will help people to enhance their skills.bioresonantie apeldoorn

    ReplyDelete