Friday, April 15, 2016

Apne mobile ko banaiye Waki-Taki,Bachaye talk-time (अपने मोबाइल को बनाइये वॉकी-टॉकी,बचाए टॉक-टाइम)

Friends, kai baar aisa hota hai ki hame apne ghar ke logon,apne padosi ya apne dosto jo ki hamare aas-paas hi hote hai,unko call karne ki jarurat padti hai.Jahir hai isme talktime bhee kharch hota hai.Lekin hum apne mobile ko waki-taki ya intercom banakar talktime ki bachat kar sakte hai aur isme internet data bhee khatm nahi hota hai.To aaiye jante hai ki apne mobile ko waki-taki kaise banaye?

Wi-fi internet ki speed kaise badhaye. 
Apne wi-fi internet data ki chori ka pata kaise lagaye.



Apne mobile ko banaaiye waki-taki aur bachaiye apna talktime.
www.webhackertips.com

Friends, google play store par aisi dhero application hai jo aapke mobile ko waki-taki bana sakti hai. Intercom for android ak aisa hi app hai jise download karne ke baad apne aas-pass maujud kisi bhee friend se bina kisi talktime ke baat ki jaa sakti hai.100 meter dur aur 238 foot unchai par baithe apne friend se baat ki ja sakti hai.Is app ke liye user ko registration karane ki bhee jarurat nahi hoti.
Par haan iske liye dono user ke smartphone me ye app hona chahiye.Bus bluetooth ya wi-fi se dusre user ko apne phone me jod le.Baat karne ke liye is app me diye gaye green rang ke button ko dabana hoga aur apni baat ko kahna hoga.Isme voice meter bhee maujud hai.

Mobile se delete ho chuki photo, video wapas kaise paaye. 

Bina internet chalaye facebook aur twitter. 

Dusra app hai Bluetooth waki-taki. Is app ki madad se video bhee share ki ja sakti hai.Sabse pahle isme search karke waki-taki aur Intarcom ke contact banaye,uske baad jisse bhee baat karni ho uske naam par click karen aur apni baat kahe.Isme alert ka option bhee hai.Voice message ya video bhejne ka option niche ki taraf milega.Ye app bhee internet data aur talktime ka istemal nahi karta hai.

 Baniye smart whatsapp user in 5 tariko se.

Kaise banaye contact- Phone me is app ke contact banane ke liye app me uper ki or right side ki taraf ''ghumawdar teer'' rahta hai,us par click karne par aas-pass maujud is app ko istemal karne wale logon ke naam display par aa jayenge.Bus in naamo par click kare aur baat kare.

Agar aapko ye post achchhi lagi ho to ise share kare. 

No comments:

Post a Comment