Monday, April 17, 2017

Bitcoin kya hai aur bitcoin kaise mining kare.बिटकॉइन क्या है और इसकी माइनिंग कैसे करे.



Dosto, aaj mai aapko duniya ki sabse powerfull currency ke baare me batane ja raha hu. Aap sabhi jante hai ki is waqt duniya ki sabse powerfull currency dollar($) hai. Lekin aaj ki is post me mai jis currency ke baare me batane ja raha hu wo ak virtual currency hai, jise na to aap chhoo sakte ho aur na hi apne purse me rakh sakte hai. Ye currency na to paper se bani hoti hai aur na hi sikko ke rup me. Iska aasitatwa numbers ke roop me hota hai aur yah puri tarah computer networking par aadharit hai. Is currency ka name hai Bitcoin. Bitcoin par kisi bhi desh ya sarkar ka adhikar nahi hai. Ise aap apne bank account me bhi nahi rakh sakte. Ise store karne ke liye digital wallet ki jarurat hoti hai. Friends, is post me mai aapko Bitcoin ke baare me vistar se bataaunga jaise ki Bitcoin kya hai aur ise kisne banaya? Avi 1 Bitcoin ki value kitni hai , Bitcoin mining kya hai, Bitcoin kaise earn ki jaati hai aur ise apne desh ki currency me exchange karke apne bank account me kaise transfer kiya jata hai?

 Chori huwe mobile ka khud kaise pata lagaye,location trace kare.


Dosto, Bitcoin ka avishkar Satoshi nakamoto naam ke ak software engineer ne 2008 me kiya tha aur 3 january 2009 me usne ise ak open source software ke roop me jaari kar diya. Iski programming is tarah se ki gayi hai ki ak waqt ke baad bitcoin ki mining band ho jayegi. Jis tarah koyle aur petrol ki maatra simit hai, usi tarah Bitcoin bhi simit hai. Filhal Wikipedia ki mane to is waqt puri duniya me lagbhag 1 crore Bitcoin hai jiski value 55000 crore Rupye hai. Ispar na to kisi desh aur na hi kisi sarkar ka control hai. Ab sawal aata hai ki jab ye na to paper ki bani hoti hai aur na hi sikko ke roop me hoti hai to aakhir ye banti kaha hai aur ise kaise hasil kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai.

Bitcoin ki mining kaise ki jaati hai?

Friends, jis tarah koyle aur sone ki mining ki jaati hai usi tarah bitcoin ki bhi mining ki jaati hai. Mai khud ak bitcoin miner hu. Aap ya to ak Bitcoin miner banker iski mining kar sakte ho ya fir kuchh aise sites hai jinse aap Bitcoin kharid sakte ho. Agar aap Bitcoin free me earn karna chahte hai to kuchh aise PTC (Paid to click) aur survey sites bhi hai jinpar sign up karke, unke ads, video dekhkar aur survey me participate karke bhi aap Bitcoin earn kar sakte ho. Apne agle post me mai  is baare me kuchh aise trusted sites ki jaankari dunga jaha se aap free me bitcoin earn kar sakte hai.

Bitcoin ko kaha store karke rakh sakte hai? 


Dosto, jaisa ki maine pahle hi bataya hai ki Bitcoin ak virtual currency hai jise hum na to apne purs me rakh sakte hai aur na hi bank me. Ise store karne ke liye ak digital wallet ki jarurat hoti hai jiska ak unik wallet address hota hai. Waise to internet par kai aisi sites hai jaha par aap apna bitcoin wallet create kar sakte hai par mai aapko yaha 3 aisi trusted site/app ke baare me bata raha hu jahan aap apna digital wallet create kar sakte hai aur usme apne bitcoins store karke rakh sakte hai. 


Blochchain :-Ye duniya ki sabse popular aur secure site hai jaha aap apna digital wallet create karke usme Bitcoin store kar sakte hai. Par isme ak problem yah hai ki isme store ki gayi bitcoin ko aap apne bank account me cash ke roop me transfer nahi kar sakte.


Unicoin :- Ye app india me bahut popular hai kyunki ye ak legel site/app hai. Isme digital wallet banakar aap isme bitcoin restore kar sakte hai aur use cash ke roop me apne bank account me transfer bhi kar sakte hai.

Zebpay :-Zebpay app india me istemal hone wali ak bahut hi popular aur trusted app hai. Isme store ki hui bitcoin ko aap cash ke roop me apne bank account me transfer kar sakte hai.

 Kisi bhi wi-fi ka secret password kaise pata kare?

Bitcoin ki value kitni hai?


Friends, share market ki tarah hi bitcoin ki value bhi upper-niche hoti rahti hai. Agar aaj ke date 23-03-2017 ko bitcoin ke value ki baat karu to is samay 1 bitcoin ki value Indian Rupees me  68159.11 Rupye, Bangladeshi taka 83461.37 Rupees, Pakastani Rupye 109210.85 Rupees aur 1040.99 US Dollar hai.

Bitcoin ki manyta kya hai?


Dosto, aapki jankari ke liye bata du ki india me bitcoin ko avi maanyata nahi di gayi hai kyunki  ye ak independent currency hai jispar india to kya kisi bhi desh ki sarkar ke paas iska control ya iski nigrani ka koi system nahi hai. Isliye yah black money ko badhawa to deta hi hai, saath hi juwari, smuglar aur aatankwadiyo ki funding ke liye bhi ye ak pasandida currency hai kyunki isme  iske istemal karne waale ki pehchan kabhi ujagar nahi hoti. Kuchh desho ne ise simit sharto ke saath maanyata di hai par
phir bhi har jagah iska istemal nahi kar sakte. Phir bhi iske khariddaro sankhya badhti hi ja rahi hai. Ab to kuchh shopping sites bhi Bitcoin accept karne lagi hai. Yaani aaj ke waqt me agar aap Kuchh Bitcoin kharid kar ya earn karke apne paas rakhte hai to future me aap use bechkar kaafi achchha munafa kama sakte hai.



To friends, is post me itna hi. Aage mai bitcoin ke baare me aapko nayi-nayi jankariyaa deta rahunga. Isliye aap meri website Webhackertips.com par visit karte rahe aur is post ko apne friends ke saath share kare.

No comments:

Post a Comment